shaam samy ek oonchi serhiyon waaly
ghar k aangan me
chaand ko utry dekha hum ne
chaand b kesa
poora chaand

insha G in chaahny waali
dekhne waali ankhon ne
mulkon mulkon
shehron shehron
kesa kesa dekha chaand

her ek chaand ki apni dhaj thi
her ek chaand ka apna roop
lekin aisa roshan roshan
hansta, batain krta chaand

dard ki tees b uth'ti thi
per itni b bhar'poor kabi
aaj se pehle kab utra tha
dil me mere gehra chaand