Tere ishq ne bakhshi hai yeh soghaat musalsal
Tera zikr hamesha, teri baat musalsal

Ik muddat hui tere baam-o-dar se nikle
Rehti hain phir bhi tujh se mulaqat musalsal

Dil lagi dil ki lagi ban jati hai jab
Tasawwur main guzarti hai har raat musalsal

Main mohabbat main us maqam pe hoon jahan
Meri zaat main rehti hai teri zaat musalsal