Kuch rang oorhane parte hain,
Kuch khwab sajane parte hain,


Jab dhop musalsal sar par ho,

Saaye bhi banane parte hain,

Is raah se tum guzra na karo,
Ham ranj guzeeda logon ko,


Kuch khoon bahana parta hai,
Kuch phool khilane parte hain,


Ham hijr mitana chahte hain,
Ham tum tak ana chahte hain,


Per tum tak kaise ayein kaho,
Raaste main zamane parte hain,


Us husn ka haal sunayen kya,
Wo jab bhu kahin se guzre hain,


Kiya hadiya-e-dil kiya naqd-e-jan,
Bazaar lagane parte hain,


Gham khwar kisi ko banain kiya,
Is main bhi khasara apna hai,


Jo sari umar chupaye hain,
Woh raaz batane parte hain..