Udaas dil ki viraniyon me bikher gye hain khwab saary
Ye meri basti se kon guzra
nikher gye hain Gulab saary

Wo door tha to hakeekaton pr sarab ka ek guman sa tha
Wo paas hy to guman hy k
hakeekatain hain sarab saary

Na'jany kitni shikayatain thi
na'jany kitny giley thy un se
Jo unko dakha to bhool bethe
sawal saary
jawab saary

Jo wo na hota to kis trha phir
soch meri ko haroof milty...?
Bus ek he zaat ne dye hain
kitaab meri ko baab saary..