Mujhe bhulany ka jis waqt fesla krna
Phir apni ankhon se khwabon ko b riha krna
Phir apni ankhon se khwabon ko b riha krna
Bus ek tum ho jisy dil ki baat kehte hain
Hamari baton ka sab se na tazkra krna
Hamari baton ka sab se na tazkra krna
Chuny hain hum ne kuch ajnabi rasty
Jo ho sky to hamary lye dua krna
Jo ho sky to hamary lye dua krna
Tmam din ki thakan ko utaarny k lye
Zara si dair yaad kr liya krna
Agr judai ka poochy koi Sabab tum se
To hum pe nit-nye ilzam dhar liya krna
To hum pe nit-nye ilzam dhar liya krna
Hum aisy qabeely me reh rahy hain Qateel
Jahan logo ne seekha hi nahi wafa krna
Jahan logo ne seekha hi nahi wafa krna