Main shaakh se ura tha sitaaron ki aas me
murjha k aa gira hon
mgr sard ghaas me

sochon to salwaton se bhari hy tamaam rooh
dekhon to ek shikan b nahi hy libaas me

sehra ki bood-o-baash hy
achi na Q lgy...
sookhi hoi gulaab ki tehni glass me

dhooky se us haseen ko agr choom b liya
paao gy dil ka zeher labon ki mithaas me

taaza koi rada-e-shab-e-abr me na tha
betha tha main udaas bayaban-e-yaas me