Muhabbat kya hai
dil k dard se ma'moor ho jana
Mata-e-jan ksi ko soonp kr
majboor ho jana

Yahan to sir se pehle
dil ka sooda shart hai yaro
koi aasan hai kya
sarmad-o-mansoor ho jana

Basa lena ksi ko dil me
dil hi ka kaleja hai
Paharon ko to bas aata hai
jal kr toor ho jana