Kurb uska dil-e-nadaan dobara maangy
jis ne toofan diya us se kianara maangy

Ae khuda ye b tawakkal ki hi ik sorat hy
doobny wala jo tinky ka sahara maangy

usko jalty hoe armaan dikhaoun dil k
gar meri ankh kabi mujh se nazara maangy

aashiyan jis ne banaya tha bari mehnat se
ab jalany k lye khud hi sharara maangy

pastiyaan apne muqaddar me likhi hain "Qaisar"
wo nahi janta jo sath hamara maangy