chalo saahil pe ja kr apni palkon se
sunehra jaal bunty hain
samundar me utar kr seepiyon se
kuch sureely taal bunty hain

chalo ab ungliyon ki narm pooron se
zara khushbo ko chunty hain
zara hum dard ko chooty hain
uski baat sunty hain

chalo saahil pe ja kr
gulaabon ki kanwari pattiyon pr
shabnami mooti...
chamak uthty hain lakhty ko
mgr phr bujh b jaaty hain
k dasht-e-arzo ki rait
ankhon me khatakti hai

chalo saahil pe ja kr
ro pheli chaand ki kirno ko
muthi beech band kr k
hawaon se b saaton surr churaaty hain

chalo mitti ka ek choota sa
dono ghar banaaty hain
ghari bhar ko sahi pr khul k
dono muskuraaty hain
jo likhy ja chuky hain patharon pr
khushk patton pr
wo maah-o-saal ginty hain

chalo saahil pe ja kr apni palkon se
sunehra jaal bunty hain