Us Raah Pe JanY Se Pehle
Asbaab Sambhaal K Rakh Lena
Kuch Ashk Firaaq Se Le Lena
kuch Phool Wisaal K Rakh Lena

Ek Umr ki Mehroomi Apne
SeenY Me Chupana Mushkil Hai
Jab Hadd-e-Wazahat Aa jaye
Ye Teer Nikaal K Rakh Lena

Ek Hairat Dil Me JhankY gi
Ankhon Me SitarY TaankY gi
Jo Anso Tum Pr Bhaari Hon
Daaman Me Uchaal K Rakh Lena

Ek Aisi Chup Taari krna
JEse Goyaai se Aari Ho
Khamoshi k GehwaarY Me
AawazAIn Paal K Rakh Lena

Chehre se Khushi Saabit krna
JEse HEr Dukh se Ghaafil Ho
Haan Baab-e-Takhatub Aye To
Alfaz Malaal K Rakh Lena

Wo Shaam BohAt Jald Aye gi
Jo Tum ko Tum Se Milaye gi
Us Shaam Tum Apni Aahon Se
kuch NaghmY Dhaal K Rakh Lena

Is kaar-e-Jahan ki Wehshat Pr
Jab koi DastaawAIz Likho
Sab Se Akhir Me kuch SafhY
Apne Ehwaal K Rakh Lena

Taaeed k Sannaty Se Utho
Tardeed k Shoor Me Aa jao
Ek Talkh Jawab Se Behtar Hai
Elzaam Sawaal K Rakh Lena

Ye khwabon
zakhmon
Daaghon ki
Tarteeb Munaasib Hai Lekin
Is zaad-e-Safar Me "Azm" kahin
kuch Sadmy Haal K Rakh Lena