Subha ta shaam sochta hon main
So tere naam
sochta hon main

Ye jo ek taza aag bhaRki hy
Is ka anjam
sochta hon main

Saamny hy qalam b
kaGhaz b
or paiGham
sochta hon main

Tujh se is dil ka jo ta'luq hy
Uska kuch naam
sochta hon main

ek sham-e-firaq Dhal b gai
Phr b her shaam
sochta hon main

Kya sabab hy Gham-e-zamana ka
La zara jaam
sochta hon main

Ab koi fikr hi nahi Baqi
Bus tera naam
sochta hon main