Ae mere hamnasheen chal kaheen aur chal,
Is chaman mein ab apna guzara nahin.
Baat hoti gulon tak to seh lete hum,
Ab to kaanton pe bhi haq hamara nahin.
... Dil ko behlaein kese SHab-e-Hijer mein
Dil Behlne ka koi sahara nahee
Chand bhe chup geya
raat bhe dhal gae
Aasman pe bhee koi sitara nahe
Jane kisi ki lagan kis ki dhun mein magan
Ja Rahe they kahan mur ke dekha nahe
Ham ne awaz per tum ko awaz dii
Tum yeh kehty ho ham ne pukara nahe
Mera Zoq e Nazar azma lijiye
Ghar ho bijli girana gira lijiye
Mein bhe ghar se chala houn yahee soch ker
Ajj nazrein nahe ya nazara nahe
Jab Gulistan ko khoon ki zarorat pari
Sab se pehle hamari hee gardan katee,
Phir bhi kehte hain humse ye ahl-e-chaman
Yeh Chaman hai hamara tumhara nahin.
Zaalimon apni kismat pe naazaan na ho
Daur badlega ye waqt ki baat hai
Wo yakeenan sunega sadayen meri
Kya tumhara khuda hai, hamara nahi
Aaj aaye ho tum, kal chale jaogay
Ye mohabbat ko apni gawara nahi
Umr bhar ka sahara, bano toh bano
Do ghari ka sahara, sahara nahi
Ae mere hamnasheen chal kaheen aur chal,
Is chaman mein ab apna guzara nahin.
Baat hoti gulon tak to seh lete hum,
Ab to kaanton pe bhi haq hamara nahin