kuch to tanhai ki raton ka sahara hota
tum na hoty na sahi
zikr tumhara hota
tark-e-dunia ka ye daawa hy Fazool
Ae Zahid..
baar-e-hasti to zara sir se utaara hota
wo agr aa na sky
moot hi aai hoti
hijr me koi to gham'khwar hamara hota
zindagi kitni musarrat se guzarti ya Rab...
aish ki trah se
agr gham b gawara hota
lab-e-zahid pe hy afsana hoor-e-jannat ka
kaash is wqt mera
anjuman'Aara hota
gham-e-ulfat jo na milta
gham-e-hasti milta
kisi sorat to zamany me guzara hota
kis ko fursat thi
zamany k sitam sehne ki
ger na us shookh ki ankhon me
ishara hota
koi humdard zamany me na paya Akhtar
dil ko hasrat hi rahi
koi hamara hota...
tum na hoty na sahi
zikr tumhara hota
tark-e-dunia ka ye daawa hy Fazool
Ae Zahid..
baar-e-hasti to zara sir se utaara hota
wo agr aa na sky
moot hi aai hoti
hijr me koi to gham'khwar hamara hota
zindagi kitni musarrat se guzarti ya Rab...
aish ki trah se
agr gham b gawara hota
lab-e-zahid pe hy afsana hoor-e-jannat ka
kaash is wqt mera
anjuman'Aara hota
gham-e-ulfat jo na milta
gham-e-hasti milta
kisi sorat to zamany me guzara hota
kis ko fursat thi
zamany k sitam sehne ki
ger na us shookh ki ankhon me
ishara hota
koi humdard zamany me na paya Akhtar
dil ko hasrat hi rahi
koi hamara hota...