is baar to dil ki baazi me
Ae Jan-e-jan sab haar diya
zar haar diya
sir haar diya
zahir pin'haan
sab haar diya

jab ishq-e-haqeeqi ne dil k
darwaazy pr aa dastak di
jaan seher zada se uth bethi
jo kuch tha jahan
sab haar diya

jab ishq ne poocha chupky se
chalna hy to chal
ab dair na kr
main nangy pao door para
poocha na kahan
sab haar diya

ab tere dar pr roona hi
is dil ko tasali deta hy
wo roonak maily dunia k
wo ishq-e-butaan
sab haar diya

jab hum b tere
or jaan b teri
phr bhaao taao theek nahi
or ishq koi byo'paar nahi
so sood-o-zayan
sab haar diya

ek aan se us ne poocha tha
kya haar ki baazi khelo gy.??
main naara maar k bol utha
haan haan meri jan
sab haar diya

wo din b Arshi beet gye
jab tarz-e-bayan me jado tha
ab lafz hain goongy honton pr
na hon
na haan
sab haar diya