Kahin ishq ka takaaza
kahin husn k ishary
na bachaa skain gy daaman
gham-e-zindagi k maary

shab-e-gham ki teergi me
meri ankh k ishaary
kabi ban gye ye anso
kabi ban gye hain taary

na khalish rahi wo mujh me
na kashish rahi wo tujh me
jisy zaum-e-aaashiqi ho
wohi ab tujhe pukaary

jinhain ho ska na haasil
kabi kaif-e-qurb-e-manzil
wohi do kadam hain mujh ko
teri justajo se pyaary

main Shakeel unka ho kr b
na pa ska hon unko
meri trah zindagi me
koi jeet kr na haary