Akhri baar milo
aisy k jalty hoe dil
Rakh ho jain
koi or taqaza na krain
Chaak-e-wada na sily
Zakhm-e-tamanna na khuly
Saans hamwar rahy
shama ki lu tk na hily
Batain bus itni k
lamhy unhain aa kr gin jain
Ankh uthaaye koi umeed
to ankhain chin jain
Us mulaqat ka
ab koi wehem nahi
Jis se ek or mulaqat ki soorat nikly
Ab nahi jana-0-junon ka
na hikayat ka waqt
Ab na tajdeed-e-wafa ka
na shikayat ka waqt
Lut gai shehr-e-hawadis main mata-e-alfaz
Ab jo kehna hy to kese koi noha kahy
Aaj tak tum se
rag-e-jaan k kai rishty thy
Kal se jo ho ga
usy kon sa rishta kahy
Phr na dekhain gy kabi
aariz-o-rukhsar milo
Matami hy dam-e-rukhsat
dar-o-deewar milo
Phr na hum hon
na iqraar
na inkar milo
Akhri baar milo
akhri baar milo...