Ye jo sir'gazishta se phirty hain kitabon waly
in se mat mil
k inhy rog hain khwabon waly

ab maah-O-saal ki muhlat nahi milny wali
aa chuky ab to shab-o-roz azabon waly

ab to sab dashna-O-khanjar ki zaban bolty hain
Ab kahan log
mohabbat k nisabon waly

jo dilon pr hi kabi nakab'zni krty thy
ab gharon tk chaly aye
wo nakabon waly

zinda rehne ki tamanna ho to ho jaty hain
fakhtaon k kirdar b
ukabon waly

na mere zakhm khily hain
na tera rang-e-hina
ab k mosam he nahi aye gulabon waly

yon lagta hy k qismat ka sikander hy FARAZ
mgr andaz hain sab khana'kharabon waly