chup na rehte
bayan ho jaty
tujh se gar bad'gumaan ho jaty

zabt-e-gham ne bacha liya wrna
hum koi dastaan ho jaty

tu ne dekha nahi palat k humain
wrna hum meherban ho jaty

tere qissy me hum bhala khud se
kis lye bad'guman ho jaty

tere dil ki zameen hi na mili
wrna hum aasman ho jaty