Suna hoga bohat tum ne
KahiN ankhoN ki rim jhim ka
Kahin palkoN ki shabnam ka
Parha hoga bohat tum ne
KahiN lehje ki barish ka
KahiN sagar k anso ka
Mgr tum ne kabi humdam
Kahin dekhe?
kahin parkhy?
Ksi tehreer k anso
Mujhe teri judai ne
Yehi mairaaj bakhshi hy
K main jo lafz likhta hoN
Wo saary lafz rooty hain
K main jo harf bunta hoN
Wo saary bain krty hain
Mere sang is judai me
Mere ilfaz marty hain
Sabi tareef krty hain
Meri tehreer ki lekin
Kabhi koi nahi sunta
Mere ilfaz ki siski
Falak b jo hila daaly
Mere lafzoN me hain shamil
Usi taseer k anso
Kabi dekho mere humdam
Meri tehreer k anso..!!