Payaam aye hain
us yaar bewafa k mujhe
Jisy karaar na aya
kahin bhula k mujhe

Judaiyan hon to aisi ki umr bher na milain
Faraib do to zara
silsily barha k mujhe

Nashy se kam to nahi
yaad-e-yaar ka aalam
K ly ura hy koi dosh pe hawa k mujhe

Main khud ko bhool chuka tha
mgr jahan waaly
Udas chor gye aaina dilkha k mujhe

Tumahre baam se kam nahi rifait-e-daar* (Height of dost)
Jo dekhna ho to dekho
nazer utha k mujhe

Bichi hoi hy mere ansuon me ek tasveer
'Faraz' dekh raha hy wahan muskura k mujhe