Mohabbat tark ki main ne
garebaan si liya main ne
zamany ab to khush ho
zeher ye b pi liya main ne

abi zinda hon lekin
sochta rehta hon khalwat me
k ab tak kis tamanna k
sahary jee lya main ne

unhain apna nahi skta
mgr itna b kya kam hy
k kuch muddat haseeb khwabon me
kho kr jee liya main ne

bs ab to daman-e-dil choor do
bekaar umeedo
bohat dukh seh liye main ne
bohat din jee liya main ne