Bikhri jaati hy
mere yaar ki zulfoN ki ghata
Itni madhosh na ban
baad-e-saba
hosh me aa

Zindagi bhar na suni jis ne
kabi arz meri
Aa k turbat pe meri
aaj wo deta hy sadaa

Ab jo milta hy to
katra k nikal jata hy
Humsafar ban'ny ka
jis ne kabi wada tha kiya

Waqt ki aandhi bujhati rahi
sapno k chiragh
Raah-e-haq pr raha
roshan mera chota sa diya

Muflisi pr meri hansty hain
zamaany waly
Rehmat-e-Malik-e-Ko'nain
zaraa josh me aa

Uski dunia se bohat door nikal
aye Hum
Jany kis baat ki phr wo hamain
deta hy saza