raaz rehne se to behter hy k afsha ho ja
tu qayamat hy to aa
samny barpa ho ja

phail ja phol ki khushbo ki trah gulshan me
kon kehta hy k tu ishq me ruswa ho ja

doston k abi kuch or karam baqi hain
zakhm-e-dil aaj zara or b gehra ho ja

ban na shola tujhe roshan hi agr hona hy
shab ki tareeki me tu din ka ujala ho ja

unki ankhain b mujhe dekh k nam ho jaain
Ae takaza-e-wafa
aaj to poora ho ja

doob jana hy mere deeda-e-nam me jo Haya
ae mere ashq tu ab subho ka tara ho ja