sir-e-raah musafir ko sitara yaad rehta hy
main chalta hon
mujhe chehra tumhara yaad rehta hy

tumhara zarf hy
tumko muhabbat bhool jati hy
humain to jis ne b hans kr pukara yaad rehta hy

muhabbat
or nafrat
or talkhi
or sheerini
kis ne kis trah ka phool maara
yaad rehta hy

muhabbat me jo dooba ho
usy sahil se kya lena
kisy is bahr me ja kr kinara
yaad rehta hy

bohat lehron ko pakra
doobny waly k hathon ne
yehi bs ek darya ka nazara yaad rehta hy

sadaain ek si
yaksaaniyat me doob jati hain
zara sa mukhtalif jis ne pukara
yaad rehta hy

main kis tezi se zinda hon
main ye to bhool jata hon
nahi aana hy dunia me dobara
yaad rehta hy