jhoonka idhar na aye
naseem-e-bahar ka
nazuk bohat hy phool
chiraGh-e-mazar ka

phr beThe beThe vada-e-vasl us ne kr liya
phr uTh khra hua vohi roog intezar ka

shaKhon se barg-e-gul nahi jharhty hain baaGh me
zevar utr raha hy
Aroos-e-bahar ka

hr gul se lala'zar me ye pochta hoN main
tu hi pata bata dy
dil-e-daaGh'daar ka

hilti nahi hava se chaman me ye DaliyaN
muuNh choomty hain phool
Aroos-e-bahar ka

uTh'ta hy naaz me vo sarhany se Ae "Ameer"
miT'ta hy aasra
dil-e-ummeed'waar ka