kahan kahan se mitaye ga
khush'guman mere
tere badan se teri rooh tak nishaan mere

kahin b ja k basa ly tu bhool ki basti
muheet hain tere
yadon k aasman tere

agr'chy fasla do'chnd kr liya tu ne
rawan dawan hain teri simt karwan mere

main jaon b to kahan
choor kr teri galyan
tu kr gya sabhi rasty dhuwan dhuwan mere

aboor hoty nahi
rooz ty to krta hon
ye hijr faasily
ye behr-e-be'karan mere

hawa k bery kisi or simt behte hain
khuly hain or kisi simt bad'baan mere

main khwab zaar ki krta to hon chaman'bandi
ujaar de na koi
aa k gulsitan mere

shagoofy aa gye palkon pe dard k akhir
chupa sky na mere raz
raaz'daan mere