Na yaqeen wajod pe kaarh kr
na rida-e-yaas me aaon ga
Jo libas tujh ko pasand ho
main usi libas me aaon ga

Mujhe raye'gaan na talash kr
main safar me tha
main safar me hon
Kabi noor-e-harf ki raah se
dil-e-khud'shanas me aaon ga

Tu hy ajnabi
meri zaat se
kabi pooch kurb ki raat se
Main nehaan hon maoj-e-firat se
main nazar to pyas me aaon ga

Mujhe doosron se talab na kr
mujhe khud se maang k dekhna
Main barang-e-aks-e-gohar'numa
kaf-e-iltemas me aaon ga

Meri justaju ne jo dam lya
mere be'karan ne kaha mujhe
K main aagahi se hon maawara
na had-e-hawas me aaon ga

Mujhe ab to shook se bhool ja
yehi naaz kam to nahi k main
Teri chahton ki kitab k
ksi iqtabas me aaon ga

Kabi mujh ko MOHSIN nye dino
ki tapish me dhondy ga wo kahin
Kabi yaad usko gye dino
k safar ki baas me aaon ga