Tujhe ilm hy ae tabeeb-e-jan
tera pyar meri hayat hy
Main mareez hon tere qurb ka
mujhe door ja k dawa na dy

Yahan sab andhair'parast hain
yahan roshni ki majal kya
ye chiragh phr b chiragh hy
koi aaty jaty bujha na dy

Tum gye dino me jo sath thy
mere qalb-o-jan ka saboot thy
ye bilawaja tera rothna
meri zindagi ko mita na dy

Tere samny mere humnawa
meri dhrknon ki bisat kya
tera is trha mujhe bholna
kahin meri umr ghtaa na dy