Talash bool rahi hy
nahi mila ab tak
jahan pukaar raha hy
Khuda Khuda
ab tak

hr ek dard ko aadat bana lya dil ne
bus ek hjr ka aadi nahi hua
ab tak

dimagh or thikanon me ja basa kab se
mgr ye dil k mohabbat me hi raha
ab tak

sakoot chaar taraf hy
mgr sakoon kahan
dilon me ghul rahi hy
koi sada
ab tak

ye pochti hy bashar se
falak ki khamoshi
tu kis k naam pe sehta raha saza
ab tak

mera nahi to wo phr kis ka khwab tha "Nayar"
jo meri aankh ko deta raha sada
ab tak