Titliyon K Mosam Mein, Nochna Gulaboon Ka
Reet Es Nagar Ki Hai, Aur Jaanay Kab Say Hai
Dekh Kr Prindon Ko, Baandhna Nishaanon Ka
Reet Es Nagar Ki Hai, Aur Jaanay Kab Say Hai

... Sheher K Ye Baashinday, Nafratoon Ko Bo Kr Bhi
Entizaar Kartay Hain, Fasal Ho Mohabbat Ki
Bhool Kr Haqeeqat Ko, Dhoondna Saraabon Ka
Reet Es Nagar Ki Hai, Aur Jaanay Kab Say Hai

Tum Abhi Naye Ho Naa!! Es Liye Pareshaan Ho
Aasmaan Ki Jaanib Es Tarha Say Mat Dekho
Aafaten Jab Aani Hon, Tootna Sitaaron Ka
Reet Es Nagar Ki Hai, Aur Jaanay Kab Say Hai

Ajnabi Fizaaon Mein, Ajnabi Musafir Say
Apnay Her Tal'luq Ko Daaimi Samajh Lena
Aur Jab Bichar Jana, Maangna Duaaon Ka
Reet Es Nagar Ki Hai, Aur Jaanay Kab Say Hai

Khaamoshi Mera Sheva, Guftugoo Huner Us Ka
Meri Be_Gunaahi Ko Log Kaisay Maanein Gay
Baat Baat Per Jab K Maangna Hawaalon Ka
Reet Es Nagar Ki Hai, Aur Jaanay Kab Say Hai