hr tamashai faqat
sahil se manzar dekhta
kon darya ko ulaT'ta
kon gohar dekhta

vo to dunia ko meri
divangi Khuch bha gai
tere hathon me vagarna
pehla patthar dekhta

aaNkh me aaNso jary thy
pr sada tujh ko na di
is tavaq'qo pr k shayd
tu palaT kr dekhta

meri qismat ki lakirain
mere hathon me na thi
tere mathy pr koi
mera muqad'dar dekhta

zindagi pheli hoi thi
sham-e-hijraN ki trah
kis ko itna hosla tha
kon ji kr dekhta

Doobny vala tha or
sahil pe chehron ka hajoom
pal ki muhlat thi main kis ko
aaNkh bhar k dekhta

tu b dil ko ik lahoo ki
booNd samjha hy 'Faraz'
aaNkh gar hoti to qatry me samundar dekhta