Humary deeda-e-tar ko
muhabbat ho gai tum se
ksi gehre samandar ko
muhabbat ho gai tum se

bhaly wo chandni shab ho
ya fasl-e-gul ki rangeeni
mere hr ek manzar ko
muhabbat ho gai tum se

ksi lamhe agr tumko
muhabbat ho gai mujh se
samjh lena muqaddar ko
muhabbat ho gai tum se

jo srf or sirf apni zaat se hi
pyar krta tha
suno!
ik aisy pathar ko
muhabbat ho gai tum se

nahi jati
tumhare qarb ki khushbo
nahi jati
mere ujry hoe ghar ko
muhabbat ho gai tum se

meri ankhon ki janib dekh kr
tum jan skti ho
k ik gehre samandar ko
muhabbat ho gai tum se

ksi sorat b ab ye ashk
tham skty nahi wasiq
meri ankho k sagar ko
muhabbat ho gai tum se