usy anjany rastoon se
guzar jany ki khwahish thi
Muhabbat me amar ho jany ki
Mar janay ki khwahish thi
wo kehta tha jeewan teergi hy
rang bharny hain is me rooshni k
or ye hum ko mukhtasir se
jo lamhy muyasar hain
ye lamhy humain muhabbat se
abaad krny hain
ksi ko door se dekhna
ksi se baat krni hy
jahan ye din guzar jaain
wahin pe raat krni hy
wo kehta hy muhabbat ka
koi mosam nahi hota
ye hr mosam ka jazba hy
jo kabi kam nahi hota
adhori si mohabbat hy
humain takmeel krni hy
mohabbat ko nye dhub se
basar krny ki khwahish usy
hr shab jagati hy
na jany kon si chahat usy
hr pal rulati hy
shanasa tha hr ek se pr
anjan rehta tha
bohat abaad tha lekin
bohat weeran rehta tha
usy hr shakhs ko hairan
kr jany ki khwahish thi
mohabbat me amar ho jany ki
mar jany ki khwahish thi