talab ko ajar na don
fikr-e-rah'guzar na kron
safar me ab k hawa ko b
humsafar na kron

ubharty
doobty sooraj se toor lon rishta
main shaam orh k so jaon
or seher na kron

ye mere dard ki doolat
meri mata-e-firaak
in ansoun ki wazahat
main umr bhar na kron

ujaar shab ki khalish
ban k ban me kho jaon
main chandni ki trah khud ko dar'ba'dar na kron

wo ek pal ko dikhai to de kahin mohsin
main jan ganwa kr b
us pal ko mukhtasar na kron