aaj Ae dil
lab-o-ruKhsar ki batain hi sahi
Vaqt kaT jaye ga
kuch pyar ki batain hi sahi

YoN to kaT'ti hi rahy gi Gham-e-doraaN me hayat
Aaj ki raat
Gham-e-yaar ki batain hi sahi

Zinda rehne ki kabi to koi sorat nikly
Ishrat-e-aalam-e-deedar ki batain hi sahi

Koi to baat chiry
aaj bohat ji hy udas
Kam se kam rehmat-e-agh'yaar ki batain hi sahi

Ab to tanhai ko ye karb na hoga bardasht
Kuch nahi to
dar-o-divaar ki batain hi sahi

Ye b kya kam hy
unhain qurbat-e-gul to hy naseeb
Aaj gul ki na sahi
Khaar ki batain hi sahi