dil pe jo tere gham ki inayat nahi hoti
ankhon se ansuon ki rafakat nahi hoti

hum rehnuma se ilteja krain to Q krain
darya ko raston ki zarorat nahi hoti

bujhta hy ae chiragh-e-zindagi to bujh ja
ab hum se teri or hifazat nahi hoti

jany ye log kese nibhaty hain jafain
hum se to is gunah ki him'mat nahi hoti

pathar kahon usy to kis zaban se kahon
patharon me itni nazakat nahi hoti

tujh ko gye hoe to zamany guzar gye
yaad teri is dil se Q rukhsat nahi hoti

jo bhol jaye tum ko
tum bhi usko bhula do
Q k ae meri jan wo mohabbat to
mohabbat nahi hoti