Mujhe kitne hi barson se
agr'chy janta hy wo
Ye kesa zulm hy k ajnabi gardanta hy wo

mere hathon ne jis ko chand jesa roop bakhsa tha
Mujhe tareek lamhon me kahan pehchanta hy wo

Mgr phr b usy apna
banany k gumaan me hon
Mujhe maloom hy k kab kisi ki maanta hy wo

Shahara mangta hy sirf tanhai k lamhon me
Muhabbat ka ta'luq kab ksi se bandhta hy wo

Main is dunia k har ik jabr ko phr bhol jata hon
Jab apne qurb se mere din ko dhanpta hy wo

Mera dil chahta hy Usko seeny se lga lon main
rida-e-gham ko apni roh pe jab tanta hy wo

Mujhe jab dukh milain to
kis qadar khushiyan manata hy
Chalo wasiq ksi trha to mujh ko manta hy wo