But'kady ja k ksi butt ko b sajda krty
Hum kahan soch b skty thy k aisa krty

umr bhar kuch b to apne lye hum ne na kiya
Aaj fursat jo mili humko
to socha krty

Hum to is khail ka hisa thy azal se shayd
So tamasha jo banty to tamasha krty

Dil ko taskeen hi mil jati
zara si is se
Na nibhaty chalo tum koi to wada krty

Jorny me to ye poorain b laho kr daalin
Kirchiyon ko jo na chooty to ye acha krty

Bhool jany ka irada b irada hi raha
Jan pr ban hi to jati
jo hum aisa krty

Is amaawas ne kye qatl kai chaand Batool
Hum ujaaly ki kahan is se tamnna krty