Usy jab yaad aye ga
wo pehli baar ka milna
To pal pal yaad rakhy ga
ya sb kuch bhol jaye ga

......Usy jab yaad aye ga
gye mosam ka hr lamha
To khud he ro pary ga wo
ya khud he muskuraye ga

Usy jab yaad aye ga
main kese muskurata tha
To Ankhain muskurain gi
ya daman bheeg jaye ga

Usy jab yaad aye ga
main kese naam leta tha
To mera naam likhy ga
ya apna b mitaye ga

Usy jab yaad aye ga
mera khamosh hi rehna
To sb se keh he daly ga
ya khud se b chupaye ga

Usy jb yaad aye ga
mera uth k chaly jana
Mily ga dhond k mujhko
ya ghut k mar he jaye ga

Usy jb yaad aye ga
wo mera nangy sar phirna
To bijli bn k kar'ky ga
ya badal bn k chaye ga

Usy jb yaad aye ga
sulah hans kr mera krna
To mujh se roth jaye ga
ya phr Aa k manaye ga

Usy jab yaad aye ga
mera mur kr chaly jana
To band rakhy ga darwazy
ya phr Rahain sajaye ga

Usy jab yaad aye ga
main kesa ajnabi shakhs tha
Ta'luq khatm kr dy ga
ya rasm-o-raah barhaye ga