inhi khush'gumaniyon me
kahin jaan se b na jao
wo jo chaara'gar nahi hy
usy zakhm Q dikhao

ye udasiyon k mosam
kahin raye'gaan na jaain
ksi zakhm ko kuredo
ksi dard ko jagao

wo kahaniyaan adhori
jo na ho skain gi pori
unhain main b Q sunaon
unhain tum b Q sunao?

mere humsafar purany
mere ab b muntazir hain
tumhain sath chorna hy
to abi se choor jao

ye judaiyon k rasty
bari dor tak gye hain
jo gya wo phir na loota
meri baat maan jao

ksi bewafa ki khatir
ye junon ‘Faraz’ kab tak
jo tumhain bhula chuka hy
usy tum b bhol jao