Mohabbaton k haseen fasany ki
baat mat kr
Tu is zamany me
us zamany ki
baat mat kr
...
Bharam jo qaaim hy MUHABBAT ka rahy to behtar
Tu meri maan
Usko aazmany ki
baat mat kr

Muhabbaton k lye haqaaiq nahi bdalty
Tu pani me diya jalany ki
baat mat kr

Qaboliyat ka hy kon sa pal kisy khabar hy
Mazaq me b tu door jany ki
baat mat kr

Tu or jo b kahy ga
main maan lon gi
Bus ilteja hy
mujhe bhulane ki
baat mat kr