Mere humsafar
Bus teri nazar
mere jazba-e-dil ki ye shid'datain
mere khwab
meri bisaratain
meri dharkanain
meri chahatain

jo tere qadam mere sath hon
mere sath shams-o-qamar chalain
teri qurbaton me samait lon
raah-e-zindagi ki musafatain

ya rida-e-jan tujhe sonp don
k na dhop tujh ko kari lgy
kahin dukh na tujh ko ataa krain
sar-e-dast-e-gham ki tamazatain

mere roz-o-shab k nisab me
mere paas apna to kuch nahi
tera qarz hai meri zindagi
meri saansain teri amanatain

Mere chaand tu hi bata mujhe
kahan hai wo mera zamana’saaz
Kahan thak k reh gya karvaan
kahan reh gain meri sangatain

Wo jo mosamon ka habeeb tha
meri pyasi aankh ka khwab tha
Wo mujhe ab b aziz hai
kry dil per ab b hakomatain