suno
tum lot aao na..
wo dekho chand nikla hy
sitary jagmgay hain
hamari muntazir ankhain
duain mangti ankhain
tumhain hi sochti ankhain
tumhain hi dhondti ankhain
tumhain wapis bulati hain
ye dil jb b dharkta hy
tumhara naam leta hy
ye anso jb b behty hain
tumhary dukh me behty hain
k barish jb b hoti hy
tumhain hi yaad krty hain
khushi koi jo aye b
tumhary bin adhori hy
suno tum lot aao na
wo dekho chand nikla hy…..!!!