zindagi aa tere arman bdal kr dekhain
dil me thehra hua mehman bdal kr dekhain

ek umeed ki sorat me mila hy koi
khak ho jany ka imkan bdal kr dekhain

jis ne bakhsha hamain pindaar shanasai ka
aaj ham apni wo pehchan bdal kr dekhain

meri ankhain b nye rung talab krti hain
ghar ka sara sar-o-saman bdal kr dekhain

aql-e-kul khud ko samajhta hy mujhe khak nasheen
dil ye kehta hy tera maan bdal kr dekhain

wo jo har baat ko halaat pe rakh dety hain
apny andar ka wo insan bdal kr dekhain

meri ibadat to saphal hoti nahi hy Jana
man k mandir ka hi bhaghwan bdal kr dekhain