naam ko b meri palkon pe sitara na tha
aaj ki raat na rota to guzara na tha

hath gardaab se takraye to maloom hua
hum kinara jisy samajhty thy kinara na tha

roshni phail gai dil k nihan khany tak
main ne ankho me abi khwab utara na tha

wapis aye to ye peshani lahu se tar thi
us k darwazy ka pather b hamara na tha

main ne khushion ki trha gham ki hifazat ki thi
kon kehta hy tera gham mujhe pyara na tha