Bhanwar dariya me jese
ya bagola koi sehra me
k jese laal andhi
garmiyon ki sham me aye
kabi pholon bhari shakhain
achanak sokh jati hon
kabi kanto bhari tehni pe
ksi Gul ka khil jana
k tapti dhop me jese
ksi baadal ka ik tukra
k jesey sard mosam me
sunehri dhop ki kirnain
k jese gehre baadal se
kabi soraj nikal aye
kabi janmo ki pyasi
ye zameen ik bond ko tarsy
kabi lamhon ki barsatain
bohat jal thal machati hon
k jese koi mosam
ek mosam se ulajh jaye
k pal bhar me wo mosam
dosry mosam me dhal jaye
k mosam ko badalny me
zara si dair lgti hy
k mosam or teri yadain
hamesha ek lgti hain
mujhe kuch aisa lgta hy k har mosam
hy teri yaad ka mosam
ya bagola koi sehra me
k jese laal andhi
garmiyon ki sham me aye
kabi pholon bhari shakhain
achanak sokh jati hon
kabi kanto bhari tehni pe
ksi Gul ka khil jana
k tapti dhop me jese
ksi baadal ka ik tukra
k jesey sard mosam me
sunehri dhop ki kirnain
k jese gehre baadal se
kabi soraj nikal aye
kabi janmo ki pyasi
ye zameen ik bond ko tarsy
kabi lamhon ki barsatain
bohat jal thal machati hon
k jese koi mosam
ek mosam se ulajh jaye
k pal bhar me wo mosam
dosry mosam me dhal jaye
k mosam ko badalny me
zara si dair lgti hy
k mosam or teri yadain
hamesha ek lgti hain
mujhe kuch aisa lgta hy k har mosam
hy teri yaad ka mosam
