Ae kash
k toty tera pindar
ksi din
kr ly tu mere pyar ka iqrar
ksi din

ye jhank'na chup chup k hamesha na rahy ga
gir jaye gi ye beech ki dewaar
ksi din

sar'shaar kabi main b bohat tha usy mil kr
pachtaye ga tu b ae mere yaar
ksi din

sunty hain us paar bari sabz rutain hain
Q hum b na Ayaz chalain paar
ksi din