Mujhe us se mohabbat hai, 
Mgr kese kahoon us se, 
Woh meri baat ko sanjeedgi se kam hi leti hai, 
Hr ik pal muskurana 
Khilkhilaana, 
Doston per fikray qassna, 
Nit’naye masoom mansoobay banana, 
Shokh chanchal har gharri 
taaza shararat me 
bohat masroof rehti hai, 
 Mgr ik aur hadsha b hai mujh ko,
 Main izhaar se 
Iqraar se 
khud roky rakhta hon, 
K mehky khwab bun’ny,
khelne ka waqt hai uska, 
Meri chahat Kahin masoomiyat na cheen le uski, 
 Sadaa se hum ne dekha hai, 
Mohabbat aadmi ko is’qadar 
sanjeeda karti hai, 
K phir mehfil, 
tamashy, 
khel usko bojh lagty hain, 
Main darta hon 
Kahin ye bhola’pan uska, 
Ye hr pal cheh’chihaana 
muskurana sab, 
Mere izhaar se 
sanjeedgi me na badal jaye, 
 Kahin us shokh ko b rog koi, 
Chup chaap na lag jaye, 
 Mujhe us se mohabbat hai, 
Mgr kese kahoon us se….