Mere Sahir Teri Aankhien
Yeh Kaisa Dard Rakhtii Hain
Inhen Likhney Ki Khwahish Mein
Meri Qalam Thaki Kitna
Inhen Parhney Ki Chahat Mein
Meri Aankhen jali Kitna..

Main Likh Likh Kar Teri Aankhien
Suanta Tha Jo Dunya Ko
Zamana Rukti Saanson Mein
Teri Aankhon Ko Sunta Tha
Zamaney Doob Jatey They
Jo Tujh Ko Yaad Rakhtey They
Wo Khud Ko Bhool Jatey They..

Kisi Shab Ki Sa’at Mein
Teri Aankhon Sey Soya Tha
Tou Jitney Khwaab Bhi Dekhey
Main Pehron In Pey Roya Tha
Teri Aankhon Sey Takra Kar tou
Sapney toot Jatey Hain
Meray Sahir Teri Aankhien
Yeh Kaisa Dard Rakhti hain.. ?

Yeh Sapney Orh Bhi Lein to
Kisi Tabeer Ka Sooraj
Inhien Soney Nahi Daita
Kisi Sheeshey Sey Manzar Par
Teri Aankhien jo Uth jaien
Wo Sheesha Zard ho Jaaye
Misaal e dard ho Jaaye..

Teri Aankhon Ki Mehroomi
Kisi Chehrey Ki daulat Sey
Kyon Janey Kum Nahii hoti
Yeh Sadiyon Ka Safar Orhay..
Laraztii Narm Palkon Mein
Zamana Saaz Si Aankhien..
Na Janey Kab Sey Pathar hain
Kyun Janey Num Nahi hotien
Yeh Socha Tha Kabhi Main Ney...
Yahi Kuch Main Ney Socha Tha
K Chahon to Faqat Eik Lams Dey Kar Hi
Inhien Phir Sey Jagga Daalon
Main Is GumSum Sey Pathar Ko..
Mehaz Choo Kar Rula Daalon
Main In Aakhon Mein Likha Dard
Mohabbat Sey Mitta Daalon

Magar Jab Roo-Baroo Paaya
Teri Aankhon Ko Meri Jaan
Teri Aankhien Meri Aankhon Mein
Jaisey Jazb Hotii Thi

Main Khud Ko Bhool Baitha Tha
Mujhey Tum Yaad Rehtey They
Teri Aankhon Key Dukh Darya
Meri Aankhon Sey Behtey They..

Meri Aankhien Bhi Ab Bilkul
Teri Aankhon Sii Lagtii Hain..
Wohii Hasrat Wohii Wehshat
Wohi Chup Chaap Pathar Sii
K Jiss Manzar Pey Uth Jaaien
Aseer e Dard Kar Jaaien..

Main Jab Sey Soch Mein Gum hoon
Mujhey Kuch Tu Hii Samjha Dey
Meray Sahir Teri Aankhen
Yeh Kaisa Dard Rakhti Hain ??