Muddat se jis k waasty dil be-qarar tha
Wo lout kr na aya
mgr intezar tha

Jo humsafar tha choor gya raah me mujhe
Main phans gya bhanwar me
or wo darya k paar tha

Manzil qareeb aai to tum door ho gye
Itna to tum batao k
ye kesa pyar tha..?

Deewar bana di kis ne
dono k darmyan
Na wo sakon se betha
na mujhko qarar tha

Ye baat umr bhar samajh na paya “mohsin”
Q dil mera usi bewafa ka talbgaar tha..!